Is saal Muharram ka pehla din aur bareilwiyon ka pehla bayaan 90 feet road Dharavi mein aur us mein Mufti Ahmed Bashir Qibla Hashmati Sahab ka Ahlul Hadith per kuch ilzaam ziska ka jawaab niche video mein aur link per aap daleel ke saath dekh aur sun sakte hai....
Share This
Jawaab: Taraweeh ki rakaat per tafseel se bayaan sune niche diye hue link per aur khud faisla karle ke hame nabi SAW ki sunnat se jyaada mohabbat hai ya phir apne maslak aur apne aalimo se jyaada mohabbat hai
http://exposingsolutions.blogspot.in/2011/10/taraweeh-ki-rakaat-ek-tahqeeq.html
2. Ek ilzaam yeh ke Ahlul Hadith ne witr ki namaaz 3 se ghata kar 1 kar di
Jawaab: Mein kehta hu maulana aap ko Qur'an aur Hadith toh samajh aataa nahi warna aap Imam Abu Hanifa Rahimaullah ki taqleed kyu karte aur bus yahi wajah lagti hai ke aapne hum per yeh ilzaam lagaa diya.. Dusro per ilzaam lagane se pehle taqleed ko chodo, Qur'an aur Hadith ko sikho, samjho uske baad hame batana ke kaunsa amal sahi aur kaunsa amal galat.. Hamare nazdeek witr ki kitne rakate hai isko jaanne ke liye niche video ko acche se dekh aur sunlo..Phir dobaara ilzaam lagane se pehle dus baar sochna...
Download Video
3. Ahlul Hadith ke nazdeek ek bakra ya bakri mein 100 logo ki qurbaani ho jaati hai
Jawaab: Maulana kaash aap yahudi aur isaaiyo wala kaam na karte balki pura masla bataate.. Qurbani ke is masle ko Qur'an aur Hadith ke roshni mein jaanne ke liye niche bayaan sune
Download Video
4. Ahlul Hadith ne jab qurbani ki baari aayi toh 3 din se 4 din kar diya
Jawab: Maulana hum hamaraa amal Qur'an aur Hadith ki roshni mein karte hai.. Neeche dekhiye hamari daleel
Download Video
No comments:
Post a Comment